
Bihar Badh Rahat Yojana 2026: Financial Grant & Subsidy Details
- Application Start: Started (aavedan prakriya jari)
- Fasal Nuksan Aaklan: Pani kam hone ke baad krishi vibhag dwara
- Payment Mode: Direct Bank Transfer (DBT)
- Application Fee: Rs. 0/- (Nishulk / Free)
- Clothing: Rs. 2,500/-
- Utensils: Rs. 2,500/-
- Other Essential Items: Rs. 2,000/-
- Aavedak Bihar rajya ka sthayi nivasi hona chahiye.
- Aavedak ka pariwar badh prabhavit kshetr se sambandhit hona chahiye.
- Badh ke karan makan, fasal, pashu ya saman ka nuksan hua ho.
- Bank Account Aadhaar card se link hona mandatory hai.
- Pashu mrityu ki sthiti me Sthani Thana me Sanaha / FIR darj hona zaroori hai.
- Aadhaar Card
- Bank Passbook Copy (Aadhaar Seeded)
- Nivasi Praman Patra (Residence Certificate)
- Sanaha / FIR Copy (Pashu ya Vishesh nuksan ke liye)
- Passport Size Photograph & Mobile Number
| Damage Type | Assistance Grant |
|---|---|
| Household Items (Clothes, Utensils, etc.) | Rs. 7,000/- total (Rs. 2500 + Rs. 2500 + Rs. 2000) |
| Category | Damage Type / Description | Assistance Amount |
|---|---|---|
| Kapda (Clothing) | Badh ke karan kapdo ke nuksan par | Rs. 2,500/- |
| Bartan (Utensils) | Ghar ke bartan behne ya kharab hone par | Rs. 2,500/- |
| Anya Saman | Anya jaroori gharelu saman ke liye | Rs. 2,000/- |
| Fasal Damage | Krishi Vibhag dwara anumanit nirdharit dar ke anusar | As Per Govt Norms |
| Pashu Mrityu | Dairy, Matsya & Pashu Resources Vibhag dwara anusanshit | As Per Govt Relief Rates |
| Max Basic Relief Grant (Saman) | Rs. 7,000/- | |
- Sabse pehle apne kshetra ke Anchal Adhikari (CO) ya Gram Panchayat se sampark karein.
- Pashu kshati ki sthiti me local police station (thana) me Sanaha / FIR darj karayein.
- Sanaha / FIR ki prati ke saath apna aavedan Anchal Adhikari ko saunpein.
- Anchal Adhikari dwara soochana District Magistrate (DM) ko sa-samay bheji jayegi.
- Fasal nuksan ke liye krishi vibhag dwara paani kam hone par aaklan karke dbt dwara bhugtan kiya jayega.
| Official Website (Bihar Govt) | Click Here |
| Our Homepage | Click Here |
| Age Calculator | Click Here |
| Our Sharda Tool | Click Here |
| Join Whatsapp Channel | Click Here |
| Join Telegram | Click Here |
| Subscribe Youtube | Click Here |
| Follow Instagram | Click Here |
Q1. Bihar Badh Rahat Yojana 2026 kya hai?
Bihar Badh Rahat Yojana badh prabhavit logo ko hue nuksan (jaise ghar, fasal, kapde, bartan, pashu) ke aadhar par sarkari rahat evam aarthik sahayata pradan karne ki yojana hai.
Q2. Bihar Badh Rahat Yojana 2026 me kin logo ko labh milega?
Is yojana ke tahat Bihar rajya ke badh se prabhavit sabhi pariwaro, kisano aur pashupalako ko sarkari sahayata pradan ki jayegi.
Q3. Badh rahat me kapde aur bartan ke liye kitni sahayata rashi milegi?
Isme kapdo ke liye ₹2,500, bartan ke liye ₹2,500 aur anya zaroori saman ke liye ₹2,000 ki sahayata rashi di jaati hai.
Q4. Fasal nuksan ki bharpai kaise hogi?
Krishi vibhag dwara paani kam hone par fasal aur ped-podho ke nuksan ka antim aaklan kiya jayega aur nirdharit dar ke anusar bank account me bhugtan kiya jayega.
Q5. Pashu mrityu hone par sahayata lene ki kya prakriya hai?
Pashupalak ko sabse pehle sthaniye thana me Sanaha / FIR darj karani hoti hai. Uske baad Sanaha ki prati ke saath aavedan Anchal Adhikari (CO) ko dena hota hai.
